→Nahi sirf jashn manana,
Nahi sirf jhande lehrana,
Yeh kaafi nahi hai watanparasti,
Yadon ko nahi bhulana,
Jo qurbaan hue,
Unke lafzon ko aage badhana,
Khuda ke liye nahi ..
Zindgi watan k liye lutana.
Happy Republic Day 2013
→Gandhi swapna jab satya bana,
Desh tabhi jab gantantra bana,
Aaj fir sae yaad kare woh mehnat,
Jo ki thi veero ne,aur bharat gantantra bana.
Gantantra Divas 2013 Ki Hardik Shubhkamnayen
→Jaan to kardi hamne watan kenaam par,
Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se pai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan kenaam par.
→Kehte hain alvida hum ab is jahaan ko,
Jaakr Khuda ke ghar se phiraaya na jaayega.
Ahle-e-vatan agarche humein bhool jaayenge,
Ahal-e-vatan ko humse bhulaya na jaayega.
Zulmo-sitam se tang naa aayenge hum kabhi,
Humse sare-niyaaz jhukaya na jaayega.
Isse ziyada aur sitam kya karenge vo,
Isse ziyada unse sataya na jaayega.
Yeh sach hai, maut humko mita degi dahar se,
Lekin hamara naam mitaya najaayega.
Hum zindagi se rooth ke baithe hain jail mein,
Ab zindagi se humko manayana jayega.
Humne lagayi aag hai jo inqalaab ki,
Is aag ko kisi se bujhaya na jaayega.
Yaron! Hai ab bhi waqt humein dekh-bhaal lo,
Phir kuch pata hamara lagaya na jaayega.
Ai maut! Jald aa ki tera intezaar hai,
Ab humse baare-jeest uthaya na jaayega.
Aazaad hum kara na sake apne mulq ko,
‘Khanjar’ yeh muh Khuda ko dikhaya na jaayega.
→“Sundar hai jag me sabse, naam bhi nayara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha jati-bhasha se badh kar Desh-Prem ki dhara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jita tha prem se sabko, hai “Baapu” us ka naam
Desh ke khatir jisne kiya apna jeewan balidan
Jaha pe vir Bhagat, Azad aur “Bose” ka nara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha pe “Suraj” puja aur nadion me mata Ganga
Chandrama pe lahraya jisne apna dhwaj “TIRANGA”,
Vishv ko jisne ZERO dekar kiya navyug ka ujiyara hai,
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jo sadion se aaj bhi har rishte se pyara hai
Sincha jisko khun se humne aur mamta se sawara hai
Jaha Ajuba hai vishv ka, kehlata “TAJ” humara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jis desh ko “Mata” keh ke hum sab ne diya samman
Wo hai Bharat desh mahan, wo hai Bharat desh mahan
”
hope you will like this Poem on republic day